Table of Contents

Frozen- Let It Go (Hindi)
Raat ki barfili chaadarein, Namonishan na koi,
Tanha is jahan ki mallika mai ho gayi.
Is aandhi jaisa toofan dil me chal raha,
Ruke na roka, jaane ya aasman.
Mai hoon jo bhi, dekhe na koi,
Chaha sapne to mujhse bas yahi.
Mai hoon jaisi jaane na wo…
To ab jaaano…
Fanaa ho, Fanaa ho..
Bandishe sab Fanaa ho..
Fanaa ho, Fanaa ho,
Hade Saari Fanaa ho.
Kehne do logo ko jo kehna hai,
Na ruke toofan, Dar nahi barfili raaton ka..
Ho thodi si jab dooriyan, Mushkil lage aasan.
Jo dar ki thi salaakhen, unka na koi nishan.
Ye pal hai wo, kahe hai jo,
Apni hadon ko tum todo,
Sahi galat ki na parvaah, Hoon azaad..
Fanaa ho, fanaa ho, Mai hawaa me aasmaan,
Fanaa ho, Fanaa ho.. Aye aasuon me taal,
Mai yahaan, Mera ye jahaan, Na ruke toofan,
Aahat se meri goonje ye zameen-aasman.
Barfili rooh meri bikhri hai yoon har jagah.
Khayal har ik mera jaise sat angara,
Na mudke dekhoon na, Ha kal ko kal choda.
Fanaa ho, Fanaa ho, Hoon mai sooraj ujla sa..
Fanaa ho, Fanaa ho.. Kal jo thi wo hoon na,
Mai jahaan, roshni wahaan, Na ruke toofan..,
Dar nahi barfili raaton ka..